12.23.2005

Mein Khayal - Mehdi Hassan

Mein Khayal - Mehdi Hassan
Ghazal by Saleem Kauser

Mein khayal hoon kisi aur ka,
mujhe sochta koi aur hai.
Sar-e-aeenah mera aks hai,
pas-e-aeenah koi aur hai.

Mein kisi keh dast-e-talab mein hoon,
to kisi keh harf-e-dua mein hoon.
Mein naseeb hoon kisi aur ka,
mejhe maangta koi aur hai.

Ajab aitabar-o-bey aitabaree,
keh darmayan hai zindagi.
Mein qareeb hoon kisi aur keh,
mujhe jaanta koi aur hai.

Mujhe doston ka pata nahin,
mujhey dushmanon ki khabar nahin.
Meri daastan koi aur thi,
mera waaqaya koi aur hai.

Jo milen kabhi unhen poochna,
dekhna unhen ghaur sey.
Jinhen raastey mein khabar hui,
keh yeh raasta koi aur hai.

Jo meri reyazat-e-neem shab,
ko 'Saleem' subh na mil saki.
To is key mani to yeh hue,
keh yahan khuda koi aur hai.
keh yahan khuda koi aur hai.

No comments: